Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Man Mein Naachein Man Ki Umangein Ban Mein Naache Mor - मन में नाचें मन की उमंगें
man mein naachein man ki umange
ban mein naache mor
man mein naachein man ki umangein
ban mein naache mor dubi jaaye chaandani
jhume ghata ghanaghor
man mein naachein man ki umange
ban mein naache mor
bhanware naache kaliyaan naache
aur naache madhumas
bhanware naache kaliyaan naache
aur naache madhumas
birah rain se mil kar naache
piyaa milan ki aas re
piyaa milan ki aas
lahar lahar pe chanda naache
ta thayi ta thayi ta thayi ta thayi thayi
kiran-kiran pe chakor
man mein naachein man ki umangein
ban mein naache mor
saawan ki odhe odhani bijali jhalak dikhaaye
bijali jhalak dikhaaye saawan ki odhe odhani
bijali jhalak dikhaaye bijali jhalak dikhaaye
nayi-nayi dulhan ka jaise
ghunghat khul khul jaye re
ghunghat khul-khul jaye
main kinase sharamaayun gori
main kinase sharamaayun gori
dur base chitchor
man mein naachein man ki umangein
ban mein naache mor dubi jaaye chaandani
jhume ghata ghanaghor
man mein naachein man ki umangein
ban mein naache mor
Comments for lyrics of song "Man Mein Naachein Man Ki Umangein Ban Mein Naache Mor"
Bhavesh Desai on Sunday, April 21, 2013 Beqasoor {1950}: Lata Mangeshkar singing for Madhubala; Lyricist: Ehsan
Rizvi; Music Directors: Anil Biswas & Hansraj Behl
Vinay Sharma on Wednesday, October 31, 2012 very beautiull classical dance and song.thanks