Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Mat Bhul Kabhi Nadaan - मत भूल कभी नादान
mat bhul kabhi nadan
mat bhul kabhi nadan tujhe baat nibhani hai
ab kya ye nadani hai kyu aankh me pani hai
mat baith kabhi ae dil kismat ke bharose tu
mat baith kabhi ae dil kismat ke bharose tu
himmat se badhe jana
himmat se badhe jana jo bigadi banai hai
uth ponch jara aansu batla de tu duniya ko
ujadi hui raho me manjil ki nishani hai
ujadi hui raho me manjil ki nishani hai
mat bhul kabhi nadan tujhe baat nibhani hai
khamosh nigaho me hai shor kayamat ka
khamosh nigaho me hai shor kayamat ka
simati hui baho me bijali ki jabani hai
dil tod ke baithi to sab log kahenge yu
dil tod ke baithi to sab log kahenge yu
khayi thi kasam jhuthi ye uski kahani hai
khayi thi kasam jhuthi ye uski kahani hai
mat bhul kabhi nadan tujhe baat nibhani hai
Comments for lyrics of song "Mat Bhul Kabhi Nadaan"
TheDeepakp on Thursday, May 21, 2015 Film cast: Ranjan, Bhanumati, Agha, David, Swaraj, B S Kale, Badri Prasad,
Suryaprabha, J Duraiswamy
Singer: Shamshad Begum, Geeta Dutt, Rajkumari, Moti, Bhanumati
Lyricist: Pandit Indra
Music Director: E. Shankar Shastri, M D Parthasarathy, Balkrishan Kalla
Film Director: S S Vasan