Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Mere Banne Ki Bat Na Puchho - मेरे बन्ने की बात ना पूछों
mere banne ki bat na puchho mera bana hariyala hai
mere banne ki bat na puchho mera bana hariyala hai
kyu na ho uski shan anokhi uche gharane wala hai
mere banne ki bat na puchho mera bana hariyala hai
meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai
meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai
uske gore mukhade ke aage chand ka rang bhi kala hai
meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai
mere banne ki bat na puchho mera bana hariyala hai
dekh samdhan tu mere samne sekhi na jata
kon sur khwab kapar teri dulhan me hai laga
usko duniya me koi puchhane wala hi na tha
usko duniya me koi puchhane wala hi na tha
wo to dulha ko dua de jo use bayah laya
wo to dulha ko dua de jo use bayah laya
teri bani ke gal hai papad tedhi medhi aankhe hai
yeji tedhi medhi aankhe hai yeji tedhi medhi aankhe hai
oo nak pakoda hoth hai sukhe uljhi uljhi julfe hai
yeji uljhi uljhi julfe hai yeji uljhi uljhi julfe hai
mera banna hai wo shahjada jo najo ka pala hai
mera banna hai wo shahjada jo najo ka pala hai
mere banne ki bat na puchho mera banna hariyala hai
meri banni ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai
dekh banno mere aage tu badi bat na kar
aisa hai tera banna jaise ho bura bandar
karke shadi kiya ahshan dulhan ne us par
karke shadi kiya ahshan dulhan ne us par
warna aise ko bhala kaun banata shohar
warna aise ko bhala kaun banata shohar
tere banne ki unth si gardan saras jaisi tange hai
yeji saras jaisi tange hai yeji saras jaisi tange hai
chuhe jaise kan hai uske kchhuye jaisi chal hai
yeji kchhuye jaisi chale hai yeji kchhuye jaisi chale hai
mere banne ka najuk mukhada albela matwala hai
mere banne ka najuk mukhada albela matwala hai
meri banni ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai
mere banne ki bat na puchho mera bana hariyala hai
baith sidhi ari samdhan na dikha ye garmi
man le har tu ab chhod de ye hathdrmi
ja ri ja mai nahi in bato se dabne wali
ja ri ja mai nahi in bato se dabne wali
tere muh kon lage yu na dikh besharmi
tere muh kon lage yu na dikh besharmi
ha mere banne ki sas nikammi sasure hai das number ke
yeji sasure hai das number ke ha ha sasure hai das number ke
mere banne ki nanad nikhatu dhang bure hai ghar bharke
yeji dhang bure hai ghar bharke ha ha dhang bure hai ghar bharke
oo ho teri dulhan ka sara gharana aafat chhipakar pala hai
teri dulhan ka sara gharana aafat chhipakar pala hai
mere banne ki bat na puchho mera bana hariyala hai
meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai
mere banne ki bat na puchho mera bana hariyala hai
meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai
mere banne ki bat na puchho mera bana hariyala hai
meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai
mere banne ki bat na puchho mera bana hariyala hai
meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai
mere banne ki bat na puchho mera bana hariyala hai
meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai
mere banne ki bat na puchho mera bana hariyala hai
Comments for lyrics of song "Mere Banne Ki Bat Na Puchho"
hindia movie on Thursday, January 20, 2011 Gharana is good family drama movie. Excellent wedding song. The music is
soothing and very classical.
The Deliberate Musician on Tuesday, October 23, 2012 great video, love the singing and dancing.
Ramesh Thakrar on Saturday, March 24, 2012 Shamshad Begum's voice grates the ear.
Rj Saran on Tuesday, December 31, 2013 wow.,,,amazing