Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Muhobbat Kee Kismat Banane Se Pahele - मुहब्बत की किस्मत बनाने से पहले
muhobbat ki kismat bana ne se pahele
jamane ke malik tu roya toh hoga, roya toh hoga
muhobbat pe ye zulm dhaane se pahele
jamane ke malik tu roya toh hoga, roya toh hoga
tujhe bhi kisi se agar pyar hota, agar pyar hota
humari tarah tu bhi kismat pe rota, kismat ko rota
yeh ashko ke mele lagane se pahele
jamane ke malik tu roya toh hoga
muhobbat ki kismat bana ne se pahele
jamane ke malik tu roya toh hoga
mere hal par yeh jo hanste hai tare, hansate hai tare
yeh tare hai teri hansi ke ishare, hansi ke ishare
hansi mere ghum ki udane se pahele
jamane ke malik tu roya toh hoga
muhobbat ki kismat bana ne se pahele
jamane ke malik tu roya toh hoga
muhobbat ko tune dilo me basaya, dilo me basaya
muhobbat ne ghum ka yeh tufan uthaya, tufan uthaya
yeh tufan duniya me lane se pahele
jamane ke malik tu roya toh hoga
muhobbat ki kismat bana ne se pahele
jamane ke malik tu roya toh hoga, roya toh hoga
Comments for lyrics of song "Muhobbat Kee Kismat Banane Se Pahele"
Mohan on Sunday, May 06, 2012 Beautuful song. The lyricist concept is very good. Sung exquisitely by
Lata. Thanks.
rumahale on Sunday, July 20, 2014 Wonderful.
Lyrics: Kaif Irfani
Music: Roshan
Thank you.
chandar deo on Monday, February 27, 2012 this is gold thanks for uploading
Valparaiso436 on Sunday, July 21, 2013 You have a great taste of music !
V. Siddhartha on Monday, October 12, 2009 Another precious Lata treat.