Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Mujhe Teri Mohabbat Ka Sahara Mil Gaya Hota - मुझमे तेरी मोहब्बत का सहारा मिल गया होता
dilshad tha ke phul khilenge bahar mein
mara gaya garib isi aitbar mein
mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota
mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota
mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
na tha manzur kismat ko, na thi marzi baharo ki
nahi to is gulistan mein
nahi to is gulistan mein, kami thi kya nazaro ki
meri najaro ko bhi koi nazara mil gaya hota
agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota
mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
khushi se apni aankho ko main ashko se bhigon leta
mere badle tu has legi
mere badle tu has legi, tere badle main ro leta
mujhe ae kash tera dard sara mil gaya hota
agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota
mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
mili hai chandni din ko, yeh unki apni kismat hai
mujhe apne muqaddar se
mujhe apne muqaddar se, faqat itni shikayat hai
mujhe tuta hua koi sitara mil gaya hota
agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota
mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Comments for lyrics of song "Mujhe Teri Mohabbat Ka Sahara Mil Gaya Hota"
Anilkumar P K on Sunday, October 18, 2015 मिली है चांदनी जिनको ये उनकी अपनी किस्मत है
मुझे अपने मुक़द्दर से फक्त इतनी शिकायत है
मुझे टुटा हुआ कोई सितारा मिल गया होता
अगर तुफा नहीं आता किनारा मिल गया होता
sumalyaghosh13 on Monday, December 20, 2010 mohabbat jisne kiya usne jaana
mohabbat ke ahesaas o ko maana
chaahe duniya ho mohabbat ki dusman
koi bhi taakat na rok saka unko
chahe wo ho toofan yah khud bhagwan
zorajabeen on Wednesday, July 15, 2009 the first line is so amazing!!
R I P RAFI SAHAB!!!
awesome duet by Rafi shab and lata!
Dimps 2014 on Tuesday, December 08, 2015 Sach hain insaan ki khawhison ki koe had nahi hoti, meri unginat khawashey
to dekho.tum, tum, tum aur bas Tum !!! super song always green in our
heart specially a broken one like mine !
vepa ramachandra rao on Tuesday, November 17, 2015 terrific expressions by raffisaab and lataji.wonderfull composition.i like
it so much of this song rendered by two legendary singiers