Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of O Patthar Ke Insan - ओ पत्थर के इन्सान
o patthar ke insaan o nitivaan insaan
mamta ka rang maidaan jivan shataranj samaan
tune apne gharvaale mohre bana daale
tune apne gharvaale mohre bana daale
tera dharm to jit gaya tere paas bacha ab kya
band karo ye vaad vivaad kaha sikha hai ye tark vitark
mai us kul kaa jisame huaa hai sada dharm ka paalan
aadarsho ke saath badha hai mera saara jivan
mere dharm ki saaxi meri jivan saathi ye tumhe batlaayegi
laaghi maine laxman rekha badala nasib mera
vachan pati ka patni ko gita isase bach na saki koyi sita
tera ye vyavahaar kya nyay pe nahi prahaar, nahi nahi
mamta ka rang maidaan jivan shataranj samaan
tune apne gharvaale mohre bana daale
dharmapith mere ghar se chali mere purkho ki ye de
saty dharm so jaaye bhale soye na mere nain
mere nayano ke samaan ye meri santaan karegi mera bakhaan
janmi mai phul banke rah gayi mai shul banake
pita mere parameshvar jaise niti badalegi kaise
man roye nain muskaaye kya mar gaya tera nyay, nahi nahi
mamta ka rang maidaan jivan shataranj samaan
tune apne gharvaale mohre bana daale
tera dharm to jit gaya tere paas bacha ab kya