Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of O Pran Piya - ओ प्राण पिया
babul sakhiya panghat angna bhoola diya
socho itna pyara kaise
ha ha itna pyara kaise rab ne sajna mila diya
pran piya pichle janam mein
maine punya hain kiya kiya
ho pran piya pichle janam me
maine punya hain kiya kiya ho ho
babul sakhiya panghat angna bhoola diya
babul sakhiya panghat angna bhoola diya
sochu itna pyara kaise ha ha itna pyara kaise
ho sochu itna pyara kaise rab ne sajna mila diya
ho pran piya pichle janam mein
maine punya hain kiya kiya
ho pran piya pichle janam mein
tuney punya hain kiya kiya
is ghar ka sharir hu main toh aatma ghar ki kaun hain
jhilmil khushiyo ko apne sang mein
laane wala kaun hain
noon tel chulhe ki lakdi kiske dam se sulagte hain
umeedo ke ped pe mere pyar ki chidiya chehakti
mere pran piya, mere pran piya
pichle janam mein maine punya hain kiya kiya
ho pran piya pichle janam mein
tune punya hain kiya kiya
kaun banaye jodi kisne rekha hath ki jodi
rab ne banayi jodi teri kate bhi jaaye na todi
ghar ghar yeh batata ismein rehne wala kaun hain
dehlijo deewaro ko pyar se chune wala kaun hain
kaun hain jiske haath ki karchi daal
rasoi mein deti hain
haath hain hot niwale aankh mein
bhar bhar prem sanjoti
meri pran piya, meri pran piya
pichle janam mein maine punya hain kiya kiya
ho pran piya pichle janam mein
tuney punya hain kiya kiya
sabki khushi mein apni khushi hi
maannewala kaun hain
choti si choti baat ka dhyaan bhi
rakhnewala kaun hain
kisko hai chinta ke mere ghar ki kya jaroorat hain
kasme waade nibhanewala jisko hamse mohabbat
mere pran piya ho mere pran piya
pichle janam me maine punya hain kiya kiya
ho pran piya pichle janam mein
tune punya hain kiya kiya
mere toote butano ko haath se
taanknewala kaun hain
har ek chiz ko waqt ke haath
tikanewala kaun hain
kaun hain jiske bina jindagi
mujhko adhuri lagti hain
der se sokar kaun woh pyari
subah savere jagti hain
tu meri pran piya oh meri pran piya
pichle janam mein maine punya hain kiya kiya
ho pran piya pichle janam mein
maine punya hain kiya kiya
babul sakhiya panghat angna bhoola diya
babul sakhiya panghat angna bhoola diya
sochu itna pyara kaise ha ha itna pyara
sochu itna pyara kaise rab ne sajna mila diya
ho pran piya pichle janam me
maine punya hain maine kiya kiya
ho pran piya