Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Paagal Parindey - पागल परिंदे
na zameen mili na falak mila
hai safar mein andha parinda
jis raah ki manzil nahi
wahin kho gaya hoke gumraah
na zameen mili na falak mila
hai safar mein andha parinda
jis raah ki manzil nahi
wahin kho gaya hoke gumraah
hawa gaon ki ab bhi dhoondh rahi
bebas aankhein yeh dhundhli hoti rahi
na bola kuchh na kuchh kaha
koyi jaata hai kya iss tarah
na zameen mili na falak mila
hai safar mein andha parinda
jis raah ki manzil nahi
wahin kho gaya hoke gumraah
zindaan ko udaan samajh baitha
ik baar bhi mudd ke na dekha
hare pedon ki shakhein chhod aaya
masoom ko kisne behkaya
hariyali woh yaadon mein aati rahi
raahein takreerein roz sunati rahi
na dua mili na mila khuda
hua kaid pagal parinda
na zameen mili na falak mila
hai safar mein andha parinda
jis raah ki manzil nahi
wahin kho gaya hoke gumraah
jehan mein kisne zehar dala
rooh pe kehar kar dala
jhoothi tasveer dikha ke mazhab ki
kambakht insaan badal dala
dozakh ki taraf haaye naadaan chali
jannat gaon mein thi achhi bhali
aankhein khuli toh sab dikha
gumnaam hai yeh parinda
na zameen mili na falak mila
hai safar mein andha parinda
jis raah ki manzil nahi
wahin kho gaya hoke gumraah