Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Paisaa Bolta Hai - पैसा बोलता है
than than ki suno jhankar ye duniya hai kala bazar
ye paisa bolta hain ye paisa bolta hain
mai gol hun duniya gol mai gol hun duniya gol
jo bolu khol doon sab ki pol
ye paisa bolta hain ye paisa bolta hain
ye paisa bolta hain ye paisa bolta hain
rang gora ho ya kala ho jag uska jo paisa wala ho
ghapale se mile ya rishwat se banta hai mukaddar daulat se
saccha hai yahan kangal to beiman hai malamal
ye paisa bolta hain ye paisa bolta hain
ye paisa bolta hain ye paisa bolta hain
bhagwan ke ghar bhi khot chale puja ke liye bhi note chale
jo chahe karwalo dhan se har kam bane donation se
milta hain us hi ko vote dikhaye jo voter ko note
ye paisa bolta hain ye paisa bolta hain
ye paisa bolta hain ye paisa bolta hain
paiso pe agar main marta hoon batlao bura kya karta hoon
jab bajati hai shahnai dhan ki tab uthti hain doli dulhan ki
main gangu teli ko doon raj main gangu teli ko doon raj
gadho ke sir pe rakh doon taj
ye paisa bolta hain ye paisa bolta hain
ye paisa bolta hain ye paisa bolta hain
than than ki suno jhankar ye duniya hain kala bazaar
ye paisa bolta hainye paisa bolta hain
ye paisa bolta hain ye paisa bolta hain