Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Phoolo Ka Khel Hai - जिन लोगों को ऐसा पिया हम रोते है
jin logo ko aisa piya ham rote hai
wo apne majaro mein pade sote hai
bhar jaau na kar yaad wo sab pite the
ham jinke liye apna samay khote hain
may pi ke ajab rang naya lati hain
halat pe teri mujhko hassi aati hai
gul gul ne mere kan mein chhupke se kaha
kab milti hain jo umar gujar jati hain
phulon ka khel hain kabhi pathar ka khel hain

insaan ki jindagi to mukddar ka khel hain

jadu se apne pas bulakar fareb se
jadu se apne pas bulakar fareb se
nadiyon ko lutna to samandar ka khel hain
nadiyon ko lutna to samandar ka khel hain
insaan ki jindagi to mukddar ka khel hain
phulon ka khel hain kabhi pathar ka khel hain
hum jisko dhundhte hain zamane mein umar bhar

wo jindagi to apne andar ka khel hain
wo jindagi to apne andar ka khel hain
insaan ki jindagi to mukddar ka khel hain
phulon ka khel hain kabhi pathar ka khel hain
har lamha hoshlon ke mukabil hain haadse

dono ke darmiyaan brabar ka khel khel hain