Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Pyaar Bhara Ek Khat Aaya Hain - प्यार भरा एक खत आया हैं
pyaar bhara ek khat aaya hain jisme ghar ki khushbu hain
pyaar bhara ek khat aaya hain jisme ghar ki khushbu hain
padhte padhte bhigi palke padhate padhte bhigi palke
aankhon se chhalka aansu hain aansu hain
pyaar bhara ek khat aaya hain jisme ghar ki khushbu hain
is bar piya tum na aana ye gam ham tum seh lenge
is bar piya tum na aana ye gam ham tum seh lenge
kuch paise bach jayenge
kuch paise bach jayenge bititya ke jewar le lenge
likhte likhte aankh bhar aayi
likhte likhte aankh bhar aayi dil pe kiska kabu hain kaabu hain
pyaar bhara ek khat aaya hain jisme ghar ki khushbu hain
budhi maa ki budhi aankhe dekhe ye ghar ka har kona
budhi maa ki budhi aankhe dekhe ye ghar ka har kona
bete ki thaali roj parose
bete ki thaali roj parose jaane kis din ho aana
pal pal maa ka dil rota hain
pal pal maa ka dil rota hain mamta to bekabu hai bekabu hai
pyaar bhara ek khat aaya hain jisme ghar ki khushbu hain
wo pipal ki chhaanv ghaneri duaao jaisa apna gaanv
wo pipal ki chhaanv ghaneri duaao jaisa apna gaanv
tumko pukaare gaanv ki galiya
tumko pukaare gaanv ki galiya mehkte sare phul aur kaliya
birah ki raate katt jaayegi hone ko roshan jugnu hain jugnu hain
pyaar bhara ek khat aaya hain jisme ghar ki khushbu hain
padhte padhte bhigi palke padhte padhte bhigi palke
aankhon se chhalka aansu hain aansu hain
pyaar bhara ek khat aaya hain jisme ghar ki khushbu hain
Comments for lyrics of song "Pyaar Bhara Ek Khat Aaya Hain"
Asim Kan on Wednesday, April 11, 2012 uff..this beautiful songs share so nicely the stories of middle class
families whose bread is earned in other countries.
Asim Kan on Wednesday, April 11, 2012 Beautiful song.