Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Pyaar Ke Saagar Se Nikli Moti Ke Badale Ret - प्यार के सागर से निकली मोती के बदले रेत
pyaar ke saagar se nikali moti ke badale ret
ab pachhataaye kya hoye jab chidiya chug gayi khet
ek jhuth hai, ek jhuth hai jiska duniya ne
rakha hai muhabbat naam are rakha hai muhabbat naam
dhokha hai jise, dhokha hai jise kahte hai wafa
bas dekh liya anjaam are bas dekh liya anjaam
pani si nazar, pathar sa jigar bedard tujhe pahchan gaye
pani si nazar, pathar sa jigar bedard tujhe pahchan gaye
ham pyar ki nagari me aakar dastur yaha ke jaan gaye
milati hai khushi
milati hai khushi dam bhar ke liye
rone ko hai subah-o-shaam
rone ko hai subah-o-shaam
haay bas dekh liya, bas dekh liya anjaam
na puchh hua jo haal mera, ek teri nazar ke dhokhe se
na puchh hua jo haal mera, ek teri nazar ke dhokhe se
jaise koi jalta dip bujhe bas ek hawa ke jhokhe se
dil de ke hame
dil de ke hame kuchh bhi na mila
bekaar huye badnaam, bekaar huye badnaam
haay bas dekh liya, bas dekh liya anjaam
Comments for lyrics of song "Pyaar Ke Saagar Se Nikli Moti Ke Badale Ret"
EJAZ HUSSAIN on Friday, January 18, 2013 Afsos ab to no body even open & listen such songs. But i assure one day
they will listen such songs alongwith same electroninc world of present day.
deon p on Friday, February 15, 2013 God singing in the form of a young man named Rafi.
MRASK on Wednesday, March 10, 2010 RAFI IS MATCHLESS
Khaleel Addu on Friday, June 10, 2011 wah wah excellent late Naushad and late Rafi sab.
issaQA on Sunday, February 05, 2012 the most difficult song of mohd rafi saab