Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Raat Ghataye Khushbu - रात घटायें खुशबू
raat, ghataye, jadu, khushbu
jiski julfo ke paigam
raat, ghataye, jadu, khushbu
jiski julfo ke paigam
dil ke barakh par, dil ke barakh par
dil ke barakh par, dhundh raha hu
us sada chehre ka naam
tune pahle dekha tha
ya maine ab ye yaad nahi
tune pahle dekha tha
ya maine ab ye yaad nahi
soch raha hu, kisko du main
dil ki tabahi ka iljaam
soch raha hu, kisko du main
dil ki tabahi ka iljaam
bik jaye bazaar me hum bhi
lekin isse kya hoga
bik jaye bazaar me hum bhi
lekin isse kya hoga
jis kimat par tum milte ho
utne kahan hai apne daam
jis kimat par tum milte ho
utne kahan hai apne daam
tere mere bich me
kitni diware hai, phir bhi to
tere mere bich me
kitni diware hai, phir bhi to
meri aankhe sun leti hai
teri aankho ka paigam
meri aankhe sun leti hai
teri aankho ka paigam
hum bhi kuch nadan the yaaro
kitne khaab saja baithe
hum bhi kuch nadan the yaaro
kitne khaab saja baithe
waqt bhala, kya deta humko
waqt ko apne kaam se kaam
waqt bhala, kya deta humko
waqt ko apne kaam se kaam
jalti bujhti yaade lekar
jab mujhe milti hai sham
jalti bujhti yaade lekar
jab mujhe milti hai sham
aksar dil ki diwaro par
likh deta hu tera naam
raat, ghataye, jadu, khushbu
jiski julfo ke paigam
dil ke barakh par, dil ke barakh par
dil ke barakh par, dhundh raha hu
us sada chehre ka naam
raat, ghataye, jadu, khushbu
jiski julfo ke paigam
Comments for lyrics of song "Raat Ghataye Khushbu"
mehreen mughal on Tuesday, August 07, 2012 beautiful ghazlal. one of the old rare gems of JAGJIT SINGH. bik jaye
bazaar me hum bhee lekin is se kia hoga, jis qeemat me tum milte ho itne
kahan he apney jam... Amazing and timely worth listening to