Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Safar Ka Hi Tha Main Safar Ka Raha - सफ़र का ही था मैं सफ़र का रहा
ab na mujhko yaad beeta
main to lamhon mein jeeta
chala ja raha hoon
mai kahaan pe ja raha hoon
kahan hoon
is yaqeen se mai yahan hoon
ki zamana ye bhala hai
aur jo raah me mila hai
thodi door jo chala hai
wo bhi aadmi bhala tha pata tha
zara bas khafa tha
wo bhatka sa rahi mere gaanv ka hi
wo rasta purana jisey yaad aana
zaroori tha lekin jo roya mere bin
wo ek mera ghar tha
purana sa dar tha
magar ab na mai apne ghar ka raha
safar ka hi tha mai safar ka raha
idhar ka hi hoon na udhar ka raha
safar ka hi tha main safar ka raha
idhar ka hi hoon na udhar ka raha
safar ka hi tha main safar ka raha
mai raha o o mai raha wo o mai raha
meel pattharon se meri dosti hai
chaal meri kya hai raah janti hai
jane rozana zamana wohi rozana
shehar shehar fursaton ko bechta hoon
khali hath jata khali lauta hoon
aise rozana rozana khud se begana
jabse gaanv se mai shehar hua
itna kadva ho gaya ki zehar hua
mai to rozana na chaha tha ye ho jana maine
ye umr waqt rasta guzarta raha
safar ka hi tha mai safar ka raha
idhar ka hi hoon na udhar ka raha
safar ka hi tha main safar ka raha
idhar ka hi hoon na udhar ka raha
safar ka hi tha main safar ka raha
mai raha o o mai raha wo o mai raha