Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Shaam Ki Gulaabi Vaadiyo Me - शाम की गुलाबी वादियों में
shaam ki gulabi vadiyo me
shaam ki gulabi vadiyo me
jugnu jab bhi timtimate hai
yu lage mujhe tera
yu lage mujhe tera pata batate hai
yu lage mujhe tera pata batate hai
yu lage mujhe tera pata batate hai
jab kabhi hawa ke narm jhonke
jab kabhi hawa ke narm jhonke
phul patto ke badan ko gudgudate hai
yu lage mujhe tera
yu lage mujhe tera pata batate hai
yu lage mujhe tera pata batate hai
yu lage mujhe tera pata batate hai
ye mehke nazare, ye jharno ke dhare
bade khoobsurat nazar aa rahe hai
ye saye ghanere, ye halke andhere
hame kis disha me liye ja rahe hai
jab kabhi chahakte panchi
jab kabhi chahakte panchi
dur hone ka paigaam late hai
yu lage mujhe tera
yu lage mujhe tera pata batate hai
yu lage mujhe tera pata batate hai
yu lage mujhe tera pata batate hai
suna tha ke pathar bhi karte hai baate
magar aaj koi kyu halchal nahi hai
ruka sa hai manzar, hai khwahish bhi banjar
ye raahe kabhi to chalengi, yaqin hai
dard ke ye gehre dariya
dard ke ye gehre dariya
sabr ko jo hamare aazmate hai
yu lage mujhe tera
yu lage mujhe tera pata batate hai
yu lage mujhe tera pata batate hai
yu lage mujhe tera pata batate hai
shaam ki gulabi vadiyo me
shaam ki gulabi vadiyon me
jugnu jab bhi timtimate hai
yu lage mujhe tera
yu lage mujhe tera pata batate hai
yu lage mujhe tera pata batate hai
Comments for lyrics of song "Shaam Ki Gulaabi Vaadiyo Me"
Manthan Veerpal on Friday, October 10, 2014 This song 'shaam ki gulaabi vaadiyon mein' is written by Manthan...and
composed by vijay verma.
Manthan Veerpal on Thursday, September 18, 2014 This song is one of my favourite songs
Samrah Zainab on Sunday, May 09, 2010 nice song ..