Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Sone Chaandi Heere Moti Se Bane - सोने चांदी हीरे मोती से बने
heere moti, sone chandi se bane pathar ke log
kaanch ki duniya me hume, sab mile pathar ke log

kaanch ki duniya me hume
kaise kaise rup me hai, dekh le pathar ke log
kaanch ki duniya me hume, sab mile pathar ke log
kaanch ki duniya me hume, sab mile pathar ke log
narm-o-naazuk hai badan, narm-o-naazuk hai badan
dil me jara narmi nahi
narm-o-naazuk hai badan, dil me jara narmi nahi
sangemarmar se banaaye tune kyu aise hasi, aise hasi
khubsurat ho ke bhi lagte bure, pathar ke log
kaanch ki duniya me hume, sab mile pathar ke log
kaanch ki duniya me hume, sab mile pathar ke log
tere gulshan me nahi hai koi phulo ki kami

kaash tu inse banata chhote mote aadmi
chhote mote aadmi
bemurvvat bewafa hai ye tere pathar ke log
kaanch ki duniya me hume, sab mile pathar ke log
kaanch ki duniya me hume, sab mile pathar ke log
baat khul ke keh raha hun, dil ko apne thamna

tere bande kar rahe hai aaj tera samna
tere bande kar rahe hai aaj tera samna
pehle tu pathar ka tha, pehle tu pathar ka tha
ab hai tere pathar ke log