Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Soorajmukhi Tera Pyar Anokha Hai - सूरजमुखी तेरा प्यार अनोखा है
soorajmukhi, soorajmukhi
tera pyar anokha hai
har subah ko khilna hai
har shaam ko murjhana hai
suraj ne kya tere
is marm ko jana hai
ye kaisa rishta hai
ye kaisa nata hai, soorajmukhi
suraj ki kirne ye sunahri
jab karti tera aalingan
komal komal pankhadiyo me
bhar jata hai madhur spandan
jaise aasha ki kirno ka
preet bhara nirmal abhinandan
mahka deta man aangan me
saanso ki sargam ka chandan
neh nimantaran pakar
jivan jyot jala kar
kirno ke sahare tera
ye jivan chal padta hai
ye kaisa rishta hai
ye kaisa nata hai, soorajmukhi
pyase andhero par anjane me
koi geet jo pyar ke aa jaye
man ko chhukar dard ka jhonka ye
asq bane nas nah me sama jaye
jaise shabnam se bheege
phoolo ka anchal kora
koi kiran shala jaye
dard ko yu sahla kar
man ko yu bharma kar
kirno ke sahare tera
ye jivan chal padta hai
ye kaisa rishta hai
ye kaisa nata hai, soorajmukhi
gahan andheri raaho me
kyon sath ye kirne chhod gai hain
in modo par deep ki dori ka
ye bandhan tod gai hain
jivan ke upvan ka malik
tab na raha koi bagiya me
kaun tere is maun prashn ka
uttar dega is duniya me
todke pyara sapna
sukh samet kar apna
kyun chhod ye sath adhura
ye jivan chal padta hai
ye kaisa rishta hai
ye kaisa nata hai, soorajmukhi
soorajmukhi tera pyar anokha hai
har subah ko khilna hai
har shaam ko murjhana hai
suraj ne kya tere
is marm ko jana hai
ye kaisa rishta hai
ye kaisa nata hai, soorajmukhi
Comments for lyrics of song "Soorajmukhi Tera Pyar Anokha Hai"
Mamta Sharma on Wednesday, July 28, 2010 Thanks 4 uploading.
Divesh Kumar on Sunday, August 22, 2010 Thanks a lot!