Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Suraj Chanda - सूरज चन्दा
suraj chanda sagar parwat
sab hai pehle jaise suraj chanda sagar parwat
sab hai pehle jaise is dharti par rehne wale
log badal gaye kaise suraj chanda sagar parwat
ganga jamna aaj bhi
sabki pyas bujhati jaye mast hwaye pyar ke mithe
git sunati jaye ye jivan hai amrit jaisa
zahar bana ye kaise suraj chanda sagar parwat
sach kahne sunne walo ne
jhut kaha se sikhe pada odhake inderdhanus ke
rang pade kyu fike ram ke desh me aaye kaha
se papi ravan jaise suraj chanda sagar parwat
is lalach me insano ki
niyat ho gayi khoti sat samandra wali duniya
ho gayi kitni chhoti dhup ke sath samandar
ho gaye pyase sehra jaise suraj chanda sagar parwat
sab hai pehle jaise is dharti par rehne wale
log badal gaye kaise suraj chanda sagar parwat