Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Teri Raza Meri Raza - तेरी रज़ा मेरी रज़ा
teri raza meri raza
teri raza meri raza
tu hi mera qazi
pehle bhi tu aage bhi tu
tu hi mera mauzi
beet rahi hai, teri dua hai
teri dua hai, teri raza hai
sajde bichaaye hain dar pe tere
tu hi hai kya kaabe mein sachi bata
tu hi hai kya kaabe mein sachi bata
teri razaa meri razaa
tu hi mera qazi
pehle bhi tu aage bhi tu
tu hi mera mauzi
na kadam dikhe na nishaan pada
na kadam dikhe na nishaan pada
ek gubaar uth ke utar gaya
utar gaya, utar gaya
main kareeb hi tha khada hua
mere paas se tu guzar gaya
gubar uth ke utar gaya
mere paas se tu guzar gaya
na kadam dikhe na nishaan para
main kareeb hi tha khada hua
sunta raha, sehta raha
tere intezar mein
aaya na tu sadiyan hui
chasme ashq bahar mein
beet rahi hai, teri dua hai
teri dua hai, teri raza hai
sajde pechaaye hain dar pe tere
meri umr to ek miyaad hai
meri umr to ek miyaad hai
tere karz ki jo chuka nahi
chuka nahi, chuka nahi
meri ruh mein jalta hua
ek charaag hai jo bujha nahi
tera karz hai jo chuka nahi
daayam hai tu kayam hai tu
fane is jahan me
rehna nahi, rukna nahi
kachche is makaan mein
kitne din rehna kachche iss ghar mein
kachche iss ghar mein kitne din rehna
tu jo bula le dar pe apne
tu hi milega kaabe mein
tu hi milega kaabe mein
Comments for lyrics of song "Teri Raza Meri Raza"
pdavis55 on Sunday, February 03, 2013 Vishal Bhardwaj is a very talented person.I saw his Omkar as a movie
director and he also composed great music in that movie - one by Rekha and
the other by Sunidhi Chauhan...both penned by inimitable Gulzar.
setu chauhan on Saturday, December 07, 2013 since 8-9 years back when i first listened to this song i don't know what
happened but tears came out of my eyes.
meri umra to ek miaad hai .. tera karz ki jo chuka nahi .
meri rooh mai jalta hua chirag hai jo bhuja nahi .
kitne din rehna kacche is ghar mai ..superb lines.
in last- tu hi milega kaabe mai.. turned from tu hi hai kya kaabe mai
which was said in starting lines . showing firstly skeptical behavior to
believe in god and then finally having faith in god.
Nkk003 on Friday, April 19, 2013 Such a wonderful song .. Gulzaar Saab no words .. Aapke toh hum mureed ho
gaye.. Rekha ji nd vishal ji you r both awesome ..
Abhishek Kumar on Friday, January 06, 2012 @sachin bro by uploading updates of gulzar saab you are making me your's
fan.very beautiful song
Hema on Wednesday, May 20, 2015 Wats real nam of teri raza serial of Saba Qmar pak serial actrs...