|
|
|
|
|
|
|
|
Thumb |
Song Heading |
Singer / Movie |
Music By / Lyricist |
Actor / Category |
|
Video of the song from youtube |
Advertisements |
Video of this song is not available at any authorized channel at YouTube right now or the channel is not allowing embedding on our website.
We will add as soon as the video of the song is available. |
|
Lyrics of Tin Taal Par Naach Budhaape Bachapan Aur Javaani Ka - तीन ताल पर नाच, तीन ताल पर नाचtin taal par naach, tin taal par naach
budhaape bachpan aur javaani ka
rang hazaaro, rang hazaaro
magar zindagi ek bulbula paani ka
tin taal par naach
hari-bhari daali ko yu hi
hari-bhari daali ko yu hi
patajhad mein lut jaana hai
khila phul jo aaj chaman mein
khila phul jo, khila phul jo aaj chaman mein
kal usako murjhaana hai
subah hui aur khatam fasaana
subah hui aur khatam fasaana
shabnam ki zindgaani ka
tin taal par naach
saari duniya ko hathiyaane
saari duniya ko hathiyaane
murakh insaa daude re
do gaz dharti bane bichhauna
do gaz dharti, do gaz dharti bane bichhauna
upar maati odhe re
mile dhul mein sapan suhaana
mile dhul mein sapan suhaana
duniya ki sultaani ka
tin taal par naach
ek bund ki pyaas pyaar ki
ek bund ki pyaas pyaar ki
taal-talaiya rite re
badhi magar vo bujh na paayi
badhi magar vo, badhi magar vo bujh na paayi
janam hazaaro beete re
de na paayein saat samundar
de na paayein saat samundar
ek bhi katra paani ka
tin taal par naach, tin taal par naach
budhaape bachpan aur javaani ka
rang hazaaro
magar zindagi ek bulbula paani ka
tin taal par naach

|
Comments for lyrics of song "Tin Taal Par Naach Budhaape Bachapan Aur Javaani Ka" |
|
Faiz Ahmed Faiz on Tuesday, December 03, 2013 great share. looks like I need to subscribe to your channel :D
Kabir8123 on Friday, June 07, 2013 Good upload bhai I have this too.
ANJANI BALA on Sunday, March 09, 2014 Very rare song very melodious.
rare rafisahab on Saturday, June 08, 2013 thanks you sir.
|
|
You may also like songs from these films on HindiGeetMala |
|
|
|
|
|