Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Tu Kahe Maharashtra Mera Ye Dharati Hindustan Ki - तू कहे महाराष्ट्र मेरा ये धरती हिंदुस्तान की
tu kahe maharashtar tera, wo kahe gujrat mera
ek ka punjab ghar hai, ek ka madrash dera
aag me jalta bihar, josh me bangal hai
us taraf dekho ke sarhad par khada bhochal hai
mat karo tukde watan ke mat bano fir se gulam
ek dil hum ek lahu hum, ek hamari subah sham
rang kitne hi hamare ek magar taswir hai
jo hame bandhe wo dhaga hai nahi zanzeer hai
ye dharti hindustan ki, ye dharti hindustan ki
ye dharti hindustan ki
ye dharti hindustan ki, ye dharti hindustan ki
ye dharti hindustan ki, ye dharti hindustan ki
na meri hai na teri hai beti kisi kisan ki

gujrati ya sikh, marathi, bangali ya madrashi
jo bhi ho tum bad me ho pehle ho bharat wasi
geeta ke bando sang guje aa ik baat kuran ki
geeta ke bando sang guje aa ik baat kuran ki
ye dharti hindustan ki, ye dharti hindustan ki
na meri hai na teri hai beti kisi kisan ki
ye dharti hindustan ki, ye dharti hindustan ki
deta hai aawaz himalay ganga tumhe bulati hai
tum wo hasti jise dekh kar maut ko bhi maut aati hai
pujan karo watan ki mitti surat hai bhagwan ki
pujan karo watan ki mitti surat hai bhagwan ki
ye dharti hindustan ki, ye dharti hindustan ki
na meri hai na teri hai beti kisi kisan ki
ye dharti hindustan ki, ye dharti hindustan ki
dekho ghar ke hi chirag se ghar me aag na lag jaye
taj, ajanta ke aangan me chor na koi ghus jaye
ek bano ghar do darar is tute hue makan ki