Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Tumhari Adao Pe Ae Husnwalo - तुम्हारी अदाओ पे ऐ हुस्नवालो
tumhari adao pe ae husnwalo
tumhari adao pe ae husnwalo
agar ham na marte to phir kon marta
tumhari adao pe ae husnwalo
agar ham na marte to phir kon marta
nahi tumsa koi agar ham na kehte
to ye naze andaz rakhe hi rehte
na itraao itna baatpan par
najar lag na jaye chalo yu na tan kar
shararat se mud mud ke kya dekhte ho
hame ya phir apni ada dekhte ho
ham hai jab na honge to phir kya karoge
har ek baat par kis se akda karoge
kise dekh kar sharm aaya karegi
haya kis se muh ko chupaya karegi
ye chutki se dil kiska masla karoge
hame yaad kar kar ke machla karoge
mohabbat ki baato pe itna na bigdo
jara hath sine pe rakhkar ye kah do
tumhari adao pe ae husn walo
agar ham na marte to phir kon marta
tumhari adao pe ae husn walo
agar ham na marte to phir kon marta
ye tum husnwalo se kya baat karta hai
ye tum husnwalo se kya baat karta hai
are ham na hota tum kispe marta
ye tum husnwalo se kya baat karta hai
are ham na hota tum kispe marta
karo ladkiyo se na bate akadkar
police le na jaye ji gardan pakadkar
hame dekhkar hi chahakne lage ho
hawa lag gayi hai bahakne lage ho
ye fashion ye makeup ye tie ye coller
tumhare to nakhre hai hamse bhi badkar
jo hoga jawani pe phule huye ho
tum apne budape ko bhule huye ho
hame dekhte ho nigahe bachakar
sharfat dikhate ho najre jhukakar
ho tum kitne chalak ham jante hai
tumhari nigaho ko pehchante hai
chalo tumse chhodo tumhi faisla karo
ke tum ache bure ho magr ye bta do
ye tum husnwalo se kya baat karta
are ham na hota tum kispe marta
ye tum husnwalo se kya baat karta
are ham na hota tum kispe marta
tumhari adao pe ae husnwalo
agar ham na marte to phir kon marta
tumhari adao pe ae husnwalo
agar ham na marte to phir kon marta
hawao me julfo ko lehrate niklo
chalte huye teer bal khake niklo
idhar dekhte ho udhar dekhte ho
girate ho bijli jidhar dekhte ho
anokha design hai ye sendilo ka
yahi shape hai bas hamare dilo ka
hasi lajmi ho magar ho sitam ghar
ke suraj se dil par ho aur dil ke pathar
khari baat kah di to bigde huye ho
angute ko danto se pakde huye ho
jara paas aao mulakat kar le agar hanske dekho to
koi romio koi farhaad dekha
jise dekha majnu ka ustad dekha
liye phirte ho ishq ki chot dil me
najar me safai to hai khot dil me
tumhe har kadam pe ye hota hai dhokha
jo dekhega tumko wahi mar mitega
jara dekh le ham to kuch aur samjho
chalo piche piche natija na socho
bina jaan pehchan ke na baat karna
bahane banakar mulakat kar na
bahut khubsurat samjhte ho khud ko
jara aaina lekar surat to dekho
mohabbat hasino se karne chale hai
koi inko dekho ye marne chale hai
ye tum husnwalo se kya baat karta
are ham na hota tum kispe marta
ye tum husnwalo se kya baat karta
are ham na hota tum kispe marta
tumhari adao pe ae husnwalo
agar ham na marte to phir kon marta
tumhari adao pe ae husnwalo
agar ham na marte to phir kon marta
Comments for lyrics of song "Tumhari Adao Pe Ae Husnwalo"
rk10101 on Friday, September 18, 2009 In my opinion, this is the worst song by OP with a "chalu" filler tune and
lyrics. It is far below the standard of OP! Disappointing as I watched this
movie with great hopesof hearing good songs but the filmas wellasthe songs
were bad alike!
Dilip S. Coulagi on Tuesday, September 01, 2009 Thanks dilij1 for posting - one question: this song and OMG song are in
colour, while HK china mina Singapore is in B&W. Were the songs
subsequently coloured?
umraochalsani on Tuesday, June 15, 2010 Perhaps some people did not expect this type of song from OP. It would have
been hailed as a great one if composed by Roshan or Naushad. In my opinion
, it is an excellent song. Thank you for posting it.
umraochalsani on Sunday, August 22, 2010 @dilij1 I tried a few little tweaks on audio editor and I think it came out
very well. If you like I can send you as an email attachment.
dilij1 on Friday, September 04, 2009 The movie was partly in color. the movie not easily available but you can
try.