Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Vaqt Se Din Aur Raat - वक़्त से दिन और रात
vaqt se din aur raat vaqt se kal aur aaj
vaqt ki har shai gulaam vaqt kaa har shai pe raaj
vaqt se din aur raat vaqt se kal aur aaj
vaqt ki har shai gulaam vaqt kaa har shai pe raaj
vaqt ki gardish se hai chand taron ka nijam
vaqt ki gardish se hai chand taron ka nijam
vaqt ki thokar me hai kya hukumat kya samaj
kya hukumat kya samaj
vaqt se din aur raat vaqt se kal aur aaj
vaqt ki har shai gulaam vaqt kaa har shai pe raaj
vaqt ki paaband hai aati jaati raunake
vaqt ki paaband hai aati jaati raunake
vaqt hai phulo ki sej vaqt hai kaanto kaa taaj
vaqt hai kaanto kaa taaj
vaqt se din aur raat vaqt se kal aur aaj
vaqt ki har shai gulaam vaqt kaa har shai pe raaj
aadami ko chaahiye vaqt se dar kar rahe
aadami ko chaahiye vaqt se dar kar rahe
kaun jaane kis ghadi vaqt kaa badale mizaaj
vaqt kaa badale mizaaj
vaqt se din aur raat vaqt se kal aur aaj
vaqt ki har shai gulaam vaqt kaa har shai pe raaj
Comments for lyrics of song "Vaqt Se Din Aur Raat"
Yoginder Surgicals on Thursday, July 15, 2010 Waqt Se Din Aur Raat Waqt Se Kal Aur Aaj Waqt Ki Har Shai Ghulaam Waqt Ka
Har Shai Pe Raaj Waqt Se Din Aur Raat.. Waqt Ki Paaband Hain Aati-Jaati
Raunke'n Waqt Hai Phoolo'n Ki Sej Waqt Hai Kaanto'n Ka Taaj Waqt Se Din Aur
Raat.. Aadmi Ko Chaahiye Waqt Se Dar Kar Rahe Kaun Jaane Kis Ghadi Waqt Ka
Badle Mijaaz Waqt Se Din Aur Raat..
jibzi786 on Sunday, October 03, 2010 Very emotional video backed up by the brilliance of Rafi sb. Not only does
he sing it wonderfully (as we would expect) but the lyrics and the
important lessons it teaches (about time) is something we must embrace and
learn from.
S Singh on Saturday, January 09, 2010 I have lived through the up and down of life and this film brings it all so
close to home.. We should never take anything in life for granted but be
grateful for what we have and for the time we get it. Wahe Guru
khurshidazmi on Tuesday, October 19, 2010 Yeah.. one of the best songs of Late Mohd Rafi and also my favorite. Gaya waqt phir haath ata nahi... so live every moment of the beautiful life coz who knows... Kal Ho Naa Ho...
buttegowda on Tuesday, September 21, 2010 Long live Sahir, Ravi and Rafi. What a song and lyrics. Thanks for posting this GEM.