Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Waah Re Waah Yeh Aazaadiyan - वाह री वाह ये आज़ादियाँ
aah nikli hai yahan aah nikli hai wahan
wah ri wah yeh aazaadiyan
teri yeh ataari teri yeh zameenein
teri yeh katari teri yeh lakeerein
ghar mera hai kahaan bas yeh bata
ho aah nikli hai yahaan aah nikli hai wahaan
wah ri wah yeh aazaadiyan
aazaadiyan ho aazaadiyan ho aazaadiyan
aazaadiyan laadla lakdi ka jhula
saanwla mitti ka chulha sohni mohni maa hai kahan
natkhati si meri galiyan nazron ki chhupan chhupaiyan
gori gori baahein kahan hai woh chhat taare kahan
hai woh chaubare kahan
ho hai woh dariyan kinare kahaan
hind pe tha naaz jinko hai woh kahan
aah nikli hai yahan aah nikli hai wahan
wah ri wah yeh aazaadiyan teri yeh dastak
teri yeh muthi tujhko mubarak
teri yeh mitti ghar mera hai kahan itna bata
aah nikli hai yahan aah nikli hai wahan
wah ri wah yeh aazaadiyan
aazaadiyan hoaazaadiyan ho aazaadiyan
aazaadiyan reh gayi rassi pe chunri
reh gayi khunti pe kurti reh gayi woh laaj kahan
reh gaya gummad mein allah reh gaya furkat mein rabba
reh gaya woh ram kahan hai hari se woh kahan
hai kari se woh kahan pehle chaman woh bataao kahan
hind pe tha naaz jinko hai woh kahan
aah nikli hai yahan aah nikli hai wahan
wah ri wah yeh aazaadiyan
teri yeh hukumat teri yeh hidayat
teri yeh himakat tujhko mubarak
ghar mera hai kahan sirf yeh bata aah nikli hai yahan
aah nikli hai wahan wah ri wah yeh aazaadiyan
aazaadiyan ho aazaadiyan ho aazaadiyan..
aazaadiyan