Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Wo Jo Auron Ki Khatir Jiye Mar Mite Sochti Hu Unhe Kya Mila - वो जो औरों कि खातिर जिये मर मिटे सोचती हूँ उन्हें क्या मिला
wo jo auro ki khatir jiye mar mite
sochti hoon unhe kya mila
wo jo auro ki khatir jiye mar mite
sochti hoon unhe kya mila kya mila kya mila
jaise badal barasta hua pyas jag ki bhujata hai
jaise badal barasta hua pyas jag ki bhujata hai
jaise chandan sabhi ke liye apni kushboo lutata hai
jaise chandan sabhi ke liye apni kushboo lutata hai
yuhi tum apna jeevan lutati rahi par tumhe pyar kiska mila
wo jo auro ki khatir jiye mar mite
sochti hoon unhe kya mila
khwab dekhe hamare liye ek pal bhi agar so gayi
khwab dekhe hamare liye ek pal bhi agar so gayi
tum ho ma sare pariwar ki sabki fikar me tum kho gayi
tum ho ma sare pariwar ki sabki fikar me tum kho gayi
tum na biyahi na hatho me mehndi rachi aur na mathe ko tika mila
wo jo auro ki khatir jiye mar mite
sochti hoon unhe kya mila
ek aurat ho meri tarha par fir bhi lagti ho devi mujhe
ek aurat ho meri tarha par fir bhi lagti ho devi mujhe
apna sab kuch mitaya magar ik nayi zindagi di mujhe
apna sab kuch mitaya magar ik nayi zindagi di mujhe
har andhere me jalti pighalti rahi dil tumhe deep jaisa diya
wo jo auro ki khatir jiye mar mite
sochti hoon unhe kya mila kya mila kya mila
Comments for lyrics of song "Wo Jo Auron Ki Khatir Jiye Mar Mite Sochti Hu Unhe Kya Mila"
TheDeepakp on Saturday, September 27, 2014 Film cast: Rajesh Khanna, Mumtaz, Nirupa Roy, A K Hangal, Jagdeep, Lalita
Pawar, Manmohan Krishan, Suresh Chatwal, Madan Puri, Jankidas, Brahmachari,
Polsan, Prem Kumar, Dharmendra, Kamal Haasan, Adil Aman, Reeta Bhaduri,
Jaya Sudha, Yasmin, Seema, Kalpana, Ratan Chopra, Jagdeesh Raj, Madhukar,
Suraj, Paresh Kumar, Neetu Singh
Singer: Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar, Vani Jairam, Asha Bhosle
Lyricist: Jan Nissar Akhtar
Music Director: Naushad Ali
Film Director: K Balachander
Film Producer: N Selvaraj, J Duraiswamy
parvez khan on Tuesday, August 10, 2010 yes dude its true--------- now this story repeat again in movoe--laga chunri mein daag--
i love all songs of this movie
naushad sahab ka jawab nahin
parvez khan on Friday, June 29, 2012 thanks-its very touchy song---