Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Yaaron Kaa Ye Haal Hai, Yaar Apane Ghar Jaao - यारों का ये हाल है, यार अपने घर जाओ
yaaro ka ye haal hai sur hai na taal hai
phir bhi ye naachege phir bhi ye gaayenge
yaaro ka ye haal hai sur hai na taal hai
phir bhi ye naachege phir bhi ye gaayenge
naachege gaayenge hamko haraayenge inka khyaal hai
yaar apne ghar jaao, yaar apne ghar jaao
kaun ham hai na tumne ye jaana
hamko dekha magar na pahachaana
kaun ham hai na tumne ye jaana
hamko dekha magar na pahachaana
duniya ki shaan ham hai, aandhi tufaan ham hai
dekho na aise tum hamse akado
rasta tum apne ghar ka pakado
yaar apne ghar jaao, yaar apne ghar jaao
phir bhi bigadate hai, phir bhi akadate hai
gaa ke jhagadate hai, naach ke ladate hai ye to kamaal hai
yaar apne ghar jaao, yaar apne ghar jaao
kaun ham hai samajh lo tum pyaare
din me tumko dikha de ham taare
kaun ham hai samajh lo tum pyaare
din me tumko dikha de ham taare
saari baate tumko sikha de
tum jo na jaano tumhe bata de
aasamaa nila hai kyun jaanate ho
paani ye gila hai kyun jaanate ho
ye zami gol hai kyun jaanate ho
dhol me pol hai kyun jaanate ho
kuchh bhi nahi jaanate ho agar tum
kyun ghar se baahar phirate ho gumsum
yaar apne ghar jaao, yaar apne ghar jaao
yaaro ka ye haal hai sur hai na taal hai
phir bhi ye naachege phir bhi ye gaayenge
naachege gaayenge hamko haraayenge inka khyaal hai
yaar apne ghar jaao
munna apne ghar jaao, are pappu apne ghar jaao
Comments for lyrics of song "Yaaron Kaa Ye Haal Hai, Yaar Apane Ghar Jaao"
Khushboo Rafeez on Monday, August 13, 2012 omg amir is in this!!!!
mary fuentes on Thursday, August 16, 2012 like.n.n