Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Zindagi Ko Jeena Hain To - जिंदगी को जीना है तो
jindagi ko jeene hai to suno ye pyaam ae he aawa aawa ae he
baato ko nahi yaha kaam ko salaam ae he aawa aawa ae he
jindagi ko jeene hai to suno ye pyaam re
baato ko nahi yaha kaam ko salaam re
soch nahi yaar mere soch buri chij hai
jeene ki to bus ek yahi tarkeeb hai
ban ke sayana maal paani kamana sikh le
hai na babu hai na babu
jindagi ko jeena hai to suno ye pyaam
baato ko nahi yaha kaam ko salaam
baat apun ki baat pate ki
hai ye gyaan ki bhasha arey note kamana
sikh le varna sab toula tu masha
is nagri ki baat ajab hai sun le mere jaani
are jaani himmat rakh sikh la dega jina
tujhe mumbai ka paani
babu samjhe ki nahi
soch ke samjh ke hal hai nikala
paisa nahi pas to ujala bhi hai kala
waah waah kya bat kahi
hey soch ke samjh ke hal hai nikala
paisa nahi pas to ujala bhi hai kala
mano ya na mano hai jamane ki ye reet
doulat ho jeb me to lallu bhi hai lala
do rangi duniya me kaise pahchane ye
kiska hai kya armaan kya hai kiske dil me
kitne paani me hai kon pyar tu khud hi jaan re
jindagi ko jeene hai to suno ye pyaam ae he aawa aawa ae he
baato ko nahi yaha kaam ko salaam ae he aawa aawa ae he
kaun kahta hai ki insaan se juda hai khuda
arey kaun kahta hai ki insaan se juda hai khuda
jo sahi waqt pe pahuche wahi insaan hai khuda
gir ke sambhlna sambhal kar chalna
aye babu aise kaise dekhta hai chalna
gir ke sambhlna sambhl kr chalna
aye babu aise kaise dekhta hai chalna
naino ki katar buri ishq ki hai maar buri
gori gori sohni sohni dekh ke fislna
kya aashiq dildaar kya chaht or kya pyar
aajkl to duniya doulat ka darbar
kal ki kare pooja arey bhool ke sare raam naam re
jindagi ko jeene hai to suno ye pyaam ae he awa awa ae he
bato ko nahi yaha kaam ko salaam ae he awa awa ae he
bato ko nahi yaha kaam ko salam re
soch nahi yaar mere soch buri chij hai
jeene ki to bus ek yahi tarkeeb hai
ban ke sayana maal paani kamana sikh le
hai na babu hai na babu
jindagi ko jeena hai to suno ye pyaam
baato ko nahi yaha kaam ko salaam